Monday, April 6, 2015

India - yeh desh jadu nahin to kya hai

India

yeh desh jadu nahin to aur kya hai...
anekon jaati, dharm, ameer gareeb,
anekon samsyaein, itni asamantayin
phir bhi ek doosre ke kareeb,
hathon ki lakeeren alag hain
magar phir ek hai sabka naseeb

yeh desh jaadu nahin to kya hai
itne vibhinn jann phir bhi itni ekta hai

yahan ek crore log mil ke sarkar chunte hai,
sab saath mil kar sapne bunte hain,

yahan anek vivaad aur masle hain,
phir bhi kandhe se kandha,
aur dil se dil mile hain

yudhon mein duniya idhar ki udhar ho gayi
magar yeh desh wahin danta hai

yeh jadu nahin to aur kya hai...
duniya ke vivaad isse alag karte hain
magar phir bhi ek saath jutta hai

yeh desh vishaal hai, yeh desh kamaal hai
kahin malamaal hai to kahin behaal hai…
sher hai magar pehne gaaye ki khaal hai
bhaari hain kadam magar tez iski chaal hai

yeh jadu nahin to kya hai
kitne tukde phir bhi ek saath juda hai.

kabhi kisi par buri nazar nahin daali,
kabhi kisi par nahin kiya vaar,
aur jab jab hamlawar aaya
to usse apna bana liya
lootere ko hi loot liya
uska dil jeet liya

yeh desh jaadu nahin to kya hai
itna alag phir bhi saath bandha hai

yahan veerta hai, karuna hai, daya hai
yahan vishwas hai, bhawana hai
yahan insaan hai, bhagwan hai,
yahan banjar reth hai, hare-bhare khet hain,
yahan gehri nadiyan hain, gagan chumbhi pahad hain,
yeh desh maya hai, manohar hai, dilkash hai, aakarshak hai
yeh rijhata hai, behlata hai, rulata hai, manata hai,
yeh lubhata hai, fuslata hai, lalchata hai, hansata hai,
yeh mantra mugdh karta hai, yeh shudh karta hai
yeh mahtrwapoorna hai, param hai, aseem hai, sampoorna hai

yeh desh jaadu nahin to kya hai

naveen aur aadhnik hai iski soch, iska nazariya,
magar phir bhi ithihaas ke rangon mein ranga hai
bhavisha mein hain shakhaein magar pracheen jaddon par tika hai

yeh ek aam desh nahin, yeh kuch khaas hai,
ek soch hai, ek bhawna hai, ek ehsaas hai.
aur iska sunehra itihaas hai...

yeh jadu nahin to kya hai...